Safar to kat jaayega yun hi chalte chalte,
Manzil tak kisi yaar ka saath ho ki na ho
Mauka mile to kar sheh, aur dekh tamasha
Zara dil to dehel jaaye dushman ka, maat ho ki na ho
Sookhe mein baadal ko dekh zara khush to ho le
Kaun jaane phir barsaat ho ki na ho
Jab bhi mile, tujhe waqt hi ki fiqr thi
Kabhi to be-parwaah mil, raat ho ki na ho
Afsaane ban hi jaayenge, khwaab saj hi jaayenge
Haqeeqat mein mulaqaat ho ki na ho
Yaad use bhi kabhi kabhi to aati hogi meri
Uske dil mein mujh se jazbaat hon ki na hon
Safar to kat jaayega yun hi chalte chalte,
Manzil tak kisi yaar ka saath ho ki na ho
-An attempt at random tukbandi
this attempt at random poetry has paid of extremely well sir... :)
ReplyDeleteKunal
good, nice and a very awesome attempt at random poetry.
ReplyDelete@Kunal
ReplyDeleteGlad you liked it :).. btw, just saw your blog.. are you living in Zurich? Have we met?
@Arpz
Thoda zyaada nahi ho gaya?? :)
mujhe bahut pasand aayi yeh kavita :-)
ReplyDelete(chaahe random ho ki na ho :P)
Loved it..esp:
ReplyDeleteYaad use bhi kabhi kabhi to aati hogi meri
Uske dil mein mujh se jazbaat hon ki na hon
I liked the sheh-maat wala sher :)
ReplyDeleteawesome random tukbandi :)
ReplyDelete@Geetanjali
ReplyDeleteyaar ... maine to ghazal ki koshish kari thi.. ye kavita lag rahi hai kya? Anyhow... thanks :)
@Taps
:)
@Kanupriya
I like the fact that sabko alag alag she'r achchhe lage :)
@Manu
lagta hai tuk ban rahi hai sahi mein :D