Monday, December 26, 2011

A superb exchange of words from Mirza Ghalib

"Ghalib: Aapne humaare bartan kya alahida kar liye hain


Ghalib's wife: Nahi, humne apne bartan alahida kar liye hain.... Bura na maaniyega, apne imaan ke liye darti hoon.


G: Haan Begum, darta wahi hai jiske paas poonji ho. Tumhaare paas imaan hai, isliye darti ho. Humaare paas to bas ye imaan waali hai :D


GW: Aap khuda ki zaat se is tarah munkir kyun hain


G: Tauba karo, khuda se munkir kahaan... fark sirf itna hai, ki main uske saamne do-zaano ho kar gidgidaata nahi.. bachchon ko ma-baap se is tarah gidgida kar bheekh maangte dekha hai, jaise tum maangti ho? Mere taalluqaat khuda ke saath tum se zyaada betaqalluf hain.


GW: Isiliye wo aapki sunte nahi hain.


G: Shaayari nahi samajhte honge. Wo bhi meri :D"


Glad to know that at least someone has a similar opinion. :)