Yun kabhi kabhi sochta hoon
Ki kyun ye waqt itna tez bhaag jaata hai
Yaad aata hai
Wo befikr bachpan
Jab raaz koi kisi se rakhna na tha
Kab kya karna sahi hai ye jaanna na tha
Hansi ko vajah ki zaroorat na thi
Aansu koi bekhabar behta na tha
Duniya mein jab koi bura lagta na tha
Ranj koi do pal theherta na tha
Yun lagta hai jaise kal hi ki baat hai
Yaad aati hai
Wo bindaas yaari
Jab galti ko galti koi samajhta na tha
Shukriya ada karna jab zaroori na tha
Jab laaton se tod diye jaate the darwaaze
Privacy naam ki bala ko koi jaanta na tha
Kuchh kehne se pehle jab sochna na tha
Jab wafaon pe shaq koi karta na tha
Yun lagta hai jaise kal hi ki baat hai
Yaad aata hai
Wo ek pyaara saath
Chand lafzon mein jiski gawaahi na ho
Khushnuma sa wo ek ehsaas tha
Yun lagta hai jaise kal hi ki baat hai
Yun kabhi kabhi sochta hoon
Ki kyun ye waqt itna tez bhaag jaata hai
Phir khayaal aata hai ki
Shaayad meherbaan hai ye
Jo guzar jaata hai
Kisi anchaahe mod par theher jaata
To najaane kya hota!!
PS: If the title doesn't make sense, don't bother :)
Yaad aata hai
Wo befikr bachpan
Jab raaz koi kisi se rakhna na tha
Kab kya karna sahi hai ye jaanna na tha
Hansi ko vajah ki zaroorat na thi
Aansu koi bekhabar behta na tha
Duniya mein jab koi bura lagta na tha
Ranj koi do pal theherta na tha
Yun lagta hai jaise kal hi ki baat hai
Yaad aati hai
Wo bindaas yaari
Jab galti ko galti koi samajhta na tha
Shukriya ada karna jab zaroori na tha
Jab laaton se tod diye jaate the darwaaze
Privacy naam ki bala ko koi jaanta na tha
Kuchh kehne se pehle jab sochna na tha
Jab wafaon pe shaq koi karta na tha
Yun lagta hai jaise kal hi ki baat hai
Yaad aata hai
Wo ek pyaara saath
Chand lafzon mein jiski gawaahi na ho
Khushnuma sa wo ek ehsaas tha
Yun lagta hai jaise kal hi ki baat hai
Yun kabhi kabhi sochta hoon
Ki kyun ye waqt itna tez bhaag jaata hai
Phir khayaal aata hai ki
Shaayad meherbaan hai ye
Jo guzar jaata hai
Kisi anchaahe mod par theher jaata
To najaane kya hota!!
PS: If the title doesn't make sense, don't bother :)
Wah wah! Subhan allah, maja aa gaya hero!
ReplyDelete"Phir khayaal aata hai ki
Shaayad meherbaan hai ye
Jo guzar jaata hai"
Ultimate!
This is fantabulous.
ReplyDeleteI can imagine Professor Bhole taking a class and reciting ghazals and poems for some of the chick students. :). Let me attend some of those classes. Please. Please. Please.
@Enlightened One
ReplyDeleteGlad you liked it :)
@vasaNT
Itni taareef saakshaat vasaNT se.. kya kahen hum :D
as for the chicks, relax boy.. I am sure you won't want to listen what I teach during my classes. Maths is how it is commonly referred to :D
Divesh, ultimate poem likhi hai :) monica has already cited my fav lines of the poem :)
ReplyDeleteBrilliant. One of your best posts.
ReplyDeleteFirst stanza unparalleled hai...
Hansi ko vajah ki zaroorat na thi
Aansu koi bekhabar behta na tha
Duniya mein jab koi bura lagta na tha
Ranj koi do pal theherta na tha
@Shreya
ReplyDeleteDhanyawaad... am glad my favorite line got noticed ... thinking about that is where I thought of penning this down
@Tapasya
one of my best.. wow.. I didn't rate it that highly when I wrote it.. the stanza you mention would definitely strike a chord with most people :)
Waah
ReplyDeleteReminded me of this beautiful song. Koi Lauta De http://www.youtube.com/watch?v=a1LoF-fN51o
ReplyDeleteIsse bada compliment kya ho sakta hai ki Kishore Da yaad aa jaayen :)
ReplyDeleteWow. Frickin' awesome.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteyou took me back to those days... thanks bro
ReplyDelete@Vikas Bhaiya
ReplyDeleteThat, coming from you, is a compliment to be preserved :)
@Vipul
Am glad I could manage to convey the feeling..
lovely poem indeed. i can totally imagine this being converted into a jagjeet singh gazal ..
ReplyDeleteFursat se pada
ReplyDeleteaur Bahut Aanand mila
ek simple sachchai
tumne baakhoobi se nibhaayi!
Mazza aa gaya Divesh :-)
@Pooja Bhabhi
ReplyDeletethank you :)... I did try to come up with a tune to go with it but could not manage .. do you have one in mind?
@Geetanjali
kya baat hai ... shaayaraana comment.. shukriya shukriya.. :)
OMG!!! This is a real real good one...
ReplyDeleteaapka yeh andaaz shaiyaraana,
kehta hai kasak badh-si gayi hai...
bewajah nahi lagti yeh chingaari,
lagta hai kisi ki justju nikhar-si gayi hai...
:) thanks
ReplyDeletePS: is this imemyself123??
This is so good.
ReplyDelete:)
ReplyDeleteGreat work!!
ReplyDeleteJab raaz koi kisi se rakhna na tha
Kab kya karna sahi hai ye jaanna na tha
Hansi ko vajah ki zaroorat na thi
Aansu koi bekhabar behta na tha
Duniya mein jab koi bura lagta na tha
Ranj koi do pal theherta na tha
Awesome!