Sunday, April 18, 2010

Optimism vs I-don't-know-what

"Kaun kehta hai aasmaan mein suraakh nahi ho sakta,
Ek patthar ko zara tabiyat se uchhaalo yaaron" - Dushyant

"Tabiyat zara kharaab hai, aur patthar kuchh kamzor
Koi aasmaan ko zara sa neeche bula do yaaron" - yours truly

4 comments:

  1. aasman ko neeche bulane ki zaroorat nahi....
    kisi bhi sacche premi ko poocho - woh aksar aasmaan se 'chand tarein' tod kar suraakh chhod jaate hai!

    ReplyDelete
  2. Aasmaan ko bhi kahin dard hota hoga mere dost,
    Jaane kitne patthar uchhale gaye honge aaj tak.
    Kabhi fursat milegi to pyaar se sehlayenge aasmaan ko bhi,
    Aaj apne dil ke suraakh bharne mein kuch masroof hain hum.

    ReplyDelete
  3. @CL

    Dhoondh ke laayen kahaan se sachche premi.. kuchh kami si hai unki aaj kal ki duniya mein.. :)

    @Taps

    You are a wonderful person :)

    But aasmaan was used here for obstacles and not people.. logon par patthar uchhaalen shaayad aisi fitrat to nahi hai abhi tak.. shaayad..

    but you have an important point there.. so many times we are so occupied with ourselves and our troubles/pains that we ignore the problems of others and instead blame them for our miseries.. as Kabir has said, "bura jo dekhan main chala, bura na mileya koi.. jo mann dekha aapna, mujhse bura na koi"

    ReplyDelete