Monday, December 26, 2011

A superb exchange of words from Mirza Ghalib

"Ghalib: Aapne humaare bartan kya alahida kar liye hain


Ghalib's wife: Nahi, humne apne bartan alahida kar liye hain.... Bura na maaniyega, apne imaan ke liye darti hoon.


G: Haan Begum, darta wahi hai jiske paas poonji ho. Tumhaare paas imaan hai, isliye darti ho. Humaare paas to bas ye imaan waali hai :D


GW: Aap khuda ki zaat se is tarah munkir kyun hain


G: Tauba karo, khuda se munkir kahaan... fark sirf itna hai, ki main uske saamne do-zaano ho kar gidgidaata nahi.. bachchon ko ma-baap se is tarah gidgida kar bheekh maangte dekha hai, jaise tum maangti ho? Mere taalluqaat khuda ke saath tum se zyaada betaqalluf hain.


GW: Isiliye wo aapki sunte nahi hain.


G: Shaayari nahi samajhte honge. Wo bhi meri :D"


Glad to know that at least someone has a similar opinion. :)

8 comments:

  1. tu dekh ye serial.. mast lagega.. youtube pe achchhe print mein available hai..

    ReplyDelete
  2. abe post ke title mein hi likha hai... Mirza Ghalib.

    ReplyDelete
  3. From the televised series right? It's superb! Naseeruddin Shah very apt for the role.

    ReplyDelete
  4. There's a beautiful couplet on this by him:

    mushkil hai zabas kalām merā ay dil
    sun sun ke use sukhanvar-e kāmil
    āsāñ kahne kī karte haiñ farmāyish
    'goyam mushkil va-gar-nah goyam mushkil'

    [my poetry is quite sufficiently difficult, oh heart
    [repeatedly] hearing it, accomplished poets
    request me to speak/compose easy [verses]--

    'If I speak/compose, it's difficult; and if I don't speak/compose, it's difficult'
    'I speak/compose the difficult; otherwise, I speak/compose with difficulty']

    http://www.columbia.edu/itc/mealac/pritchett/00ghalib/141/141_01.html

    ReplyDelete