Friday, August 27, 2010

...

Jab kabhi khud ko pareshaan paata hoon,
Teri bebasi pe halka sa taras aata hai khuda

Ya tu meri tarah kamzor hai, ya meri tarah nikamma...

13 comments:

  1. Jab kabhi tujh ko pareshaan paata hoon,
    Teri haalat pe halka sa taras aata hai Divesha

    Ye kis daaru ka suroor hai, leta hai jo tu seedha seedha pangaa

    :P

    .........

    8 din baad likhne pe jo wo "welcome back" kehte hain..
    Mahino baad koi likhega to wo jaane kya kya kahenge!!
    :P :D :)

    ReplyDelete
  2. @Phoenix

    :) .. thank you

    @Vik

    Daaru to hum pee lein huzoor, magar
    Koi sharaab aisi dikha de jis mein hum sa nasha ho..

    Baat usse bhi ghuma phira ke karni pade agar
    Poochhe koi usse zara, "phir kis baat ke khuda ho"..

    ......

    Aapko likhe to mahine kya saal ho chale hain
    Kuchh likh deejiye, ki kab tak bas anticipate karenge

    :P :D :)

    ReplyDelete
  3. Baat usse bhi ghuma phira ke karni pade agar
    Poochhe koi usse zara, "phir kis baat ke khuda ho"..


    ..Waah!!!!! Kya jawaab diya hai! Maann gaye aapko!

    ReplyDelete
  4. saara dosh khuda pe!!! sahi hai!!

    ReplyDelete
  5. wah!!

    PS: Welcome back! thanks for making ur blog public again!

    ReplyDelete
  6. @Vik

    :)

    @Sneha

    Dosh kahaan diya.. bas sahaanubhuti hai..

    @Saumya

    :)

    @i-me-myself

    'twas just some temporary craziness, didn't really think anyone would care ... thank you for being a consistent reader..

    ReplyDelete
  7. Khuda ko baar baar ulta seedha bolte rehte ho,
    lagta hai uski haqeekat se bharosa uth gaya hai.

    ReplyDelete
  8. Loved the comments more I guess...

    Kuch naadaani hi lagti hai yeh aapki,
    Jo khuda se har baar kuch kehtey hue,
    Ye bhulaa dete ho ki wo khudaa hi hai jo aapse sab kehalwaata hai

    ReplyDelete
  9. @vibhav

    Arre doston se to jab mann kare ulta seedha bol sakte hain :D

    @Tapasya

    Jab wahi kehelwa raha hai to humaare bhulaane, na bhulaane ka sawaal kahaan hai :)

    ReplyDelete
  10. aap darshan dete raho to motu deadly hi rahega :D

    ReplyDelete