Friday, September 04, 2009

Reality/Practicality is severely over-rated

Goli maaro reality ko..
Ki reality bore karti hai
Dreams mein jiyega to hansega kallu, maama, kallu maama

Reality, path mein kaante laakh bichhaaye
Dreams to phir bhi bichhda yaar milaayen

Jitne bhi reality kar le sitam
Hans hans ke sahenge hum
Ye dreams na hongi kam, sanam, teri kasam

Reality to bewafa hai, har ghadi thukraayegi
Dream mehbooba hai, apne saath humko udaayegi
Day-dreaming.. ki ada.. duniya ko jo sikhlaayega,
Wo muqaddar.. ka sikandar.. jaaneman kehlaayega

6 comments:

  1. Ha ha!! I have been thinking on the same platform since a few weeks!

    Goli maro so-called reality ko, saali bor bahut kar jaati hai..
    Sapno ko dekhne ki adaa,
    lo hamse seekh, hume thodi bahut to aati hai..
    :)

    ReplyDelete
  2. hanste hanste, kat jaaye raste, life yunhi chalti rahey
    khushi mile ya ghum, dreams dekhege hum, reality chahe badalti rahey

    Super post !! :P :P :D :D

    ReplyDelete
  3. @Eternal observationist

    wah wah, genius.. humein to bas wahi aata hai .. aur to kuchh aata hi nahi

    @Tapasya

    :D :D .. is gaana ke baare mein socha tha maine post type karte waqt par kuchh samajh nahi aaya to drop kar diya

    @TheQuark

    mazaak kar rahe ho kya, sarkaar? :D

    ReplyDelete