A song by Avdhoot Gupte for all who have lost their innocence. Successfully.
"Ek waqt tha jab hansne ke liye zarooratein kitni kam thi ..
Aur aaj ...
Ye fark jab mehsoos hota hai to lagta hai
Ki yun manzilon se manzilon tak chalte hue maine kitna kuchh paaya hai ..
Lekin kho di sirf ek cheez ... maasoomiyat
Oonchaaiyon ke khwaab the, oonchi thi saari manzilein
Aur har manzil pe milti, aur saari manzilein
Manzilon se manzilon tak, bhaagte ye raaste
In raaston mein kho gayi, maasoom muskuraahatein
Likhta to pehle bhi tha, aur aaj bhi likhta hoon
lekin aaj kal sochne laga hoon likhne se pehle ki
chalega.. nahi chalega.. hit hoga ... nahi hoga
Pehle main apni marzi ka raja tha
Likhta tha apne liye .. sirf apne liye
Janm lete roz nagme, aasmaan ko dekh kar
Kaagazon pe raat behti thi sitaare odh kar
Shaam dhalna, din ka chalna .. sab tha mere vaaste
Ab na hai wo raat din .. bas manzilein aur raaste
Manzilon se manzilon tak, bhaagte ye raaste
In raaston mein kho gayi, maasoom muskuraahatein
Pehle koi jhoothi dosti karta bhi to kisliye
Kya tha mere paas
Par ab agar sachcha dosti ka haath bhi aage badhe
To lagta hai
Ise kya chahiye mujhse, ye kyun dosti karna chaahta hai mujhse
Aaj kyun har muskuraahat jhooth lagti hai bada
Dosti ka haath bhi lagta hai kuchh lene badha
Haath daaya aaine mein haath baaya kyun lage
Ye aaina bhi mujhse kuchh hai chaahta, aisa lage
Manzilon se manzilon tak, bhaagte ye raaste
In raaston mein kho gayi, maasoom muskuraahatein"
Never heard this song. Google pe bhi nahi mila mujhe. Do you have it?
ReplyDeleteBeautiful lyrics, truly.
I can't get over the line " Manzilon se manzilon tak, bhaagtey yeh raastey...In raaston me kho gayiin masoom muskurahatein"